Woh Chaar Diware!!

Today my heart was giving me crazy vibes to write something in hindi. So just wanted to pour my heart out to you guyz. So its a poem written for every Home. The Home that makes us learn every nooks and corner of this life.



Woh Chaar Diware!!

Woh Chaar Diware aksar bohat khuch sikha deti hai,
Thoda Ruthna bhi,
Thoda Manana bhi,
Thodi si Hasi bhi,
Thodi si Khushi bhi.

Yuhi nahi Ghar banaya jata hai,
Thoda Sambhalna bhi padta hai,
Thoda Sunna bhi padta hai,
Thoda Sunana bhi padta hai,
Pr sb ka Pyaar aakhir me rang hi jata hai rang mei.

Woh Maa ka Datna,
Woh Papa ka Pyaar
Woh Bhai ki Sikhavan,
Woh Bhabi ka Dular,
Woh Behan ki Nautanki,
Yaha sare Duniya ka Pyaar ek sath mil jata hai,
Alag alag andaz mei.

Maa kehti hai thoda Sabr kr liya karo,
Pr unki baat tab kaha smjh aati hai,
Woh toh waqt hi smjha deti hai ki,
Maa har baar sahi hoti hai.

Sb kehte hai zindagi bohat sikhati hai,
Mei kehti hu ye Ghar bhi wahi sikhata hai,
Bas hame Dekhna aur Smjhna aana chahiye,
Yahi Ghar Zindagi bhi Sambhal legi,
Jb appno ka saath hoga.

Har Jakhm ki Dawa,
Aur apno ki Dua,
Aur unko Pyaar,
Yahi kafi hai is Zindagi mei,
Jb ye mil jaye apne Ghar se,
Toh Upar wale ka zarur Shukr ada karna,
Bhulna mat kyunki ye uski hi Den hai.

Wapis wahi kehti hu,
Ye char diware aksar bohat khuch sikha degi,
Smjh jao aur aapno se jude raho,
Shukriya!!

Comments

Popular posts from this blog

Someone who is lost!!

Smile a Weapon to Treasure

Communication opens up many paths.